Saturday, July 17, 2010

Kabhi behte hue dard mein

Kabhi behte hue dard mein,
Kabhi thehre pani sard mein,
Kabhi jheel ki gehrai mein,
Kabhi raat ki tanhai mein,
Har patthar mein,har deewar mein,
Kabhi apne hi kamre ke srinagar mein,
Tera chehra cha sa jata hai,
Aur teri yaad dilata hai,
Mujhe sab kuch bhul jata hai,
Phir dard sa jagne lagta hai,
Kuch sard sa lagne lagta hai,
Phir parchayian bolti hain mujhse,
Aur tanhayian sisakne lagti hain,
Phir dard mera gehrata hai,
Aur saanse rukne lagti hain,
Jab yaad tumhari aati hai,
Main deewana ho jata hun,
Bas waqt sarakta rehta hai,
Main beete lamhe jeeta hun,
Tum door to mujhse itne ho,
Kyun bhool tumhe nahi pata hun,
Yaadon se tumhari main,
Khud apne dil ko tadpata hun,
Phir sochta hun kabhi kabhi,
Ye yaadein hain yaad aayengi,
Na jaane kyun aur kab tak,
Mere dard ko sehlayengi,
Yun waqt ka dariya behta hai,
Ek din to wo bhi aayega,
Yeh aata jaata waqt meri,
Yaadon ko baha le jayega,
Maeri ankhon ke sapno ko,
meri mohabbat bhare ish pyare se intzar ko,

Meri jeet ko, teri haar ko,
phir Jhumunga main zindagi mein,
aur Ek din to mukt ho jaunga.

No comments: