Naja naja chhod kar ta-umr chillata raha
Aane wali zindagi meri intezar me jati rahi
Jise bhi apna samjha cheen usse liya rab ne
Bharosa phir bhi khud par rakh kar
Main jhuti umeed bandhati raha
Tham leti jo mujhe, toh bahon me apni bhar leta
Chumta mastak uska aur goad me phir lita leta
Aise ek shaks ko main baar baar bulata raha
Naja naja chhod kar ta-umr chillata raha
Mushkilein aai hazar, nahi dikha mujhe koi dwar
Tanhai ke saanaton me, gaye maine malhaar
Sabr kiya to bahut tha maine, phir umeed jati rahi
Naja naja chhod kar ta-umr chillata raha
Kar bhala, bhala hi hoga, yahi to sunte aaya tha main
Zindagi bhar gham samete, kya nahi bhalai ye
Muskurahate hi baati, zeher ka har ghunt piye
Ab to meethi lagne lagi hain aansu ki har boond bhi
Ab to koi mujhko thame, ab to koi ye kahe
Thak gaye hain honth tere kabse muskate hue
Thoda sa tu ro le ab to, aa main apni goad dun
Chain se tu soja kuch pal, sang tere main jo hun
Baith kar jiske kinare, doobta hi jaun main
Naja naja chhod kar phir nahi chillaun main
Saturday, July 17, 2010
Naja Naja chhod kar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment